we had to choose our seprate ways.ways.it wasnt possible to stat friends anany more, Micro tales

Part 2/3
After 3 months
___________




We had to choose our separate ways.It wasn't possible to stay friends anymore

Me -Hum aakhri baar toh baat kr skte teh acche se,ya ab woh bhi nahi

She- cahati thi,lekin mujhe kal ki fikar aur daraa rahi hai

Me:-toh kya darne se,sab solve hoga?

She:- kabhi nahi,

Me:- Tum cahati thi ke aakhri baar baat ho,lekin tumhare aashu phir bhi bhut khuch keh gaye

Tum chah rahi thi,ke mein tumse nafrat karu,lekin yeh aashu tumhare phir wohi sab keh gaye

She:- main khuch nahi kar skti wajid,mein haar gayi,

Me:- Mein tumhare saath hi Aur rhunga,Yeh situation jo hai milkar saamna karege mein samjaaunga unhe

She:- Woh nahi smjege wajid,Har tarah se samaajaaya hai mene har tarah se,aur woh log bhi tumhe jaante hai

Me:- jabhi mene kha,Aur yeh rista kya hum yunhi gawa de? Sirf islie ke log kya kahege?

She:- Nahi kabhi nahi

Me:- naa aaj tum khush ho,na mein,yeh jo mein likhta hu sirf islie ke do log ek dusre ki qadar jaane aur bs woh na ho jo humare bich hua, Aur unhe unki mohbhaat mil bhi gayi,Lekin mera khuda jaane kya naseeb hai,Jisko cahaha woh mila nahi,Raaste manzil tak aate aate tabaah ho gaye

She:- Mujhe maaf kardo (she was literally crying)

Me:- Tum please ro mat,Mein humesa saath hu tumhare,Humeshaaa,Haalat burey se burey aate,Unhe sahi krna humare uppr hain

Dekho nhi reh paaye na alag,Yeh tum ho aur mein,Jo har baar laut aate hai,Esha kyu hota hai kbhi sochna

She:- humey alag hona hoga wajid

Me:- Lekin mein kaha na yeh koi raasta nahi tum khud ka haal dekho,Bs dhikaawe mein jii rahi ho,Tumhe lgta h mein khuch smjta nhi, Itna toh naadan nahi tha mein

She:- mein sab jaanti hu wajid,Bs khud ko dilaashe diye hoti hu,

Me:- In dilaasho ne hi aaj yaha khda kara humey,Agar yakeen hota toh yeh sab nahi hota

She:- Tum bhi jaante teh wajid humare milna na mumin hai phir kyu itni mehnat efforts krte rahe,Na krte tum bhi

Me:- Tumhare liye yeh kehna aasan hain Lekin jis dil se keh rahi ho bs mein jaanta hu,Bs esha faisla mt lena,Majboorio k naam par ke tumhe tabah krde

Cont,2/3
Penned by wajid shaikh 

Comments