"Phir khuch din aise bhi guzar gaye" Short real love story of wajid shaikh

" Phir khuch din aise bhi nikal gaye " short love story of wajid shaikh,You will relate and cry after read this story



Khuch din eshe bhi guzar gaye jaha mujhe khud khuch ki khabar nhi,beeta kal guzar gaya,so guzar gaya,aane waale kal ke khaatir jeene lage toh bhi saayad ke qaainat ko manzur nhi hua

Ek haadasa guzrta nahi ke naye haadse raah mein teh

Unhi mein se ek hota hai,ya toh kisi sbse khaas ka mar jaana,yaa koi sahi haqdaar mile uska bil-aakhir bhichad jaana

Mere saath yeh dono haadse ho gaye,Apne chacha ko apni ankho ke saamne kho diya,Aur jo bithe kal ke baad khaash bana tha,wha bhi aazmaishe suru ho gyi

Us ladki ke khaatir jo likhu kam hai,usne jo qurbaaniya mere khaatir di,usne jo ranj-o-alam mere khaatir sahe toh aankhe bhar aati hai
Usne aakar woh ehsaash dilaaya ke waakai jo mohbhat waajid tumne likhi hai,woh aapse hai mujhe

Kisi eshe shaks ka milna,aur uska bhichad jaana aur uske jaane ka gham rooh ko nichod deta hai,
Yahi ek wajah hai yhi ek waasta hai jo aaj bhi ussey is hadd tak jodhe rakha hai jiski hadd nhi

Usne bhi uske kal mein bhut khuch saha,bhut khuch lutaa diya lekin sirf ek galat insaan pr
Aur mene bhi khud ko loota diya,ek galat insaan par

Isi bhich khuch karisme ke usey mulaaakat hui dono ki takleef ek dono ke dhukh ek,

Pehli pehli baar jab kisi se baat hoti hai,toh insaan khusi se krta hai,haste huye,Lekin woh shaks awaaz sunkar hi roo diya kehne laga
Aap itna dhuk chupaate hai is hasi mein,ke lafz nahi,milte
Aur meri ek hi aadat,ke kisi se jydaa baat nhi krne ki chahe jo ho jaaye,yeh baat usey kahi lagi dil par ke kya baat hai,usne tamaam koshishe ki yeh ghazal yeh nazame aur rubaai ke phiche chupa ek ghamgeen shayar jisey kisi ne nhi dekha,bs suna hai,mehsoosh kra hai,

Meri ek aadat chahe jo ho,mein doobta sooraj dekhna nhi bhulta kabhi;aur dekhte dekhte uska doob jaana,yey ehsaash dilaata ke yhi zindagi hai,waajid dubna bhi hai,aur urooz bhi hai